HomeShayariMaa ShayariMaa Shayari Images Hindi

Maa Shayari Images Hindi

Maa Shayari Images Hindi. Tere Kadmon Mein Yeh Saara Jahan Hoga Ek Din,
Maa Ke Hothhon Pe Tabassum Ko Sajaane Wale.
तेरे क़दमों में ये सारा जहां होगा एक दिन,
माँ के होठों पे तबस्सुम को सजाने वाले।

Pahado Jaise Sadme Jhelti Hai Umr Bhar Lekin,
Ik Aulad Ki Takleef Se Maa Toot Jati Hai.

पहाड़ो जैसे सदमे झेलती है उम्र भर लेकिन,
इक औलाद की तकलीफ़ से माँ टूट जाती है।

Maa Shayari in Hindi

  • Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
    Maine Jannat Toh Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai.
    चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
    मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
  • Kal Maa Ki God Mein, Aaj Maut Ki Aagosh Mein,
    Ham Ko Duniya Mein Ye Do Waqt Bade Suhane Se Mile.
  • कल माँ की गोद में, आज मौत की आग़ोश में,
    हम को दुनिया में ये दो वक़्त बड़े सुहाने से मिले।
  • Kisi Bhi Mushkil Ka Ab Kisi Ko Hal Nahi Milta,
    Shayad Ab Ghar Se Koi Maa Ke Pair Chhukar Nahi Nikalta.
    किसी भी ​मुश्किल का अब किसी को हल नहीं मिलता,
    ​शायद अब घर से कोई माँ के पैर छूकर नहीं निकलता​।
  • Aansu Nikle Pardes Mein Bheega Maa Ka Pyar,
    Dukh Ne Dukh Se Baat Ki Bin Chitthi Bin Taar.आँसू निकले परदेस में भीगा माँ का प्यार,
    दुख ने दुख से बात की बिन चिट्ठी बिन तार।
Maa Shayari in Hindi
Maa Shayari in Hindi

Shayari on Maa

  • Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa,
    Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.
    उमर भर तेरी मोहब्बत मेरी खिदमतगार रही माँ,
    मैं तेरी खिदमत के काबिल जब हुआ तू चली गयी माँ।
  • Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
    Yaad Rakhna Ki Bas Maa-Baap Nahi Milte,
    Murjha Kar Jo Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
    Yeh Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.सबकुछ मिल जाता है दुनिया में मगर,
    याद रखना की बस माँ-बाप नहीं मिलते,
    मुरझा कर जो गिर गए एक बार डाली से,
    ये ऐसे फूल हैं जो फिर नहीं खिलते।
  • Bhool Jaata Hoon Pareshaniyan Zindagi Ki Saari,
    Maa Apni God Mein Jab Mera Sar Rakh Leti Hai.भूल जाता हूँ परेशानियां ज़िंदगी की सारी,
    माँ अपनी गोद में जब मेरा सर रख लेती है।
  • Hai Gareeb Meri Maa Phir Bhi Mera Khyal Rakhti Hai,
    Mere Liye Roti Aur Apne Liye Pateele Ki Khurchan Rakhti Hai.है गरीब मेरी माँ फिर भी मेरा ख्याल रखती है,
    मेरे लिए रोटी और अपने लिए पतीले की खुरचन रखती है।
  • Rooh Ke Rishto Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye,
    Chot Lagti Hai Humein Aur Chillati Hai Maa,
    Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
    Jab Musibat Aa Jaye Toh Yaad Aati Hai Maa.रूह के रिश्तों की ये गहराइयाँ तो देखिये,
    चोट लगती है हमें और चिल्लाती है माँ,
    हम खुशियों में माँ को भले ही भूल जायें,
    जब मुसीबत आ जाए तो याद आती है माँ।
Shayari on Maa
Shayari on Maa

maa shayari images

  • maa shayari images
    maa shayari images

Maa par Shayari

  • Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai,
    Apne Haathon Ko Chulhe Mein Jalana Yaad Aata Hai.

Woh Daant-Daant Kar Khana Khilana Yaad Aata Hai,
Mere Vaaste Tera Paisa Bachana Yaad Aata Hai.

Kahin Ho Na Jaye Ghar Ki Musibat Laal Ko Maloom,
Chhupa Kar Takleefe Tera Muskurana Yaad Aata Hai.

  • Baalaen Aakar Bhi Meri Chaukhat Se Laut Jaati Hain,
    Meri Maa Ki Duayen Bhi Kitna Asar Rakhti Hain.

बालाएं आकर भी मेरी चौखट से लौट जाती हैं,
मेरी माँ की दुआएं भी कितना असर रखती हैं।

  • Wo Ujla Ho Ke Maila Ho Ya Manhga Ho Ke Sasta Ho,
    Ye Maa Ka Sar Hai Is Pe Har Dupatta Muskurata Hai.

 

वो उजला हो के मैला हो या मँहगा हो के सस्ता हो,
ये माँ का सर है इस पे हर दुपट्टा मुस्कुराता है।

  • Bahut Bechain Ho Jata Hai Jab Kabhi Dil Mera,
    Main Apne Pars Mein Rakhi Maa Ki Tasveer Ko Dekh Leta Hoon.

 

बहुत बेचैन हो जाता है जब कभी दिल मेरा,
मैं अपने पर्स में रखी माँ की तस्वीर को देख लेता हूँ।

  • Sakht Raahon Mein Bhi Aasaan Safar Lagta Hai,
    Yeh Meri Maa Ki Duaaon Ka Asar Lagta Hai.
    सख्त राहों में भी आसान सफ़र लगता है,
    ये मेरी माँ की दुआओं का असर लगता है।
  • Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai,
    Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai.
    जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है,
    माँ दुआ करती हुई ख्वाब में आ जाती है।
  • Besan Ki Roti Par, Khatti Chatni Jaisi Maa..
    Yaad Aati Hai Chauka, Baasan, Chimta, Phoonkni Jaisi Maa.

 

बेसन की रोटी पर, खट्टी चटनी सी माँ…
याद आती है चौका, बासन, चिमटा, फूंकनी जैसी माँ।

 

Maa par Shayari
Maa par Shayari

maa ke upar shayari

  • Shahar Mein Aa Kar Padhne Wale Ye Bhool Gaye,
    Kis Ki Maa Ne Kitna Zevar Becha Tha.

शहर में आ कर पढ़ने वाले ये भूल गए,
किस की माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।

  • Woh Toh Likha Ke Laayi Hai Kismat Mein Jaagna,
    Maa Kaise So Sakegi Ki Beta Safar Mein Hai.
    वो लिखा के लायी है किस्मत में जागना,
    माँ कैसे सो सकेगी कि बेटा सफ़र में है।
  • Wo Lamha Jab Mere Bachche Ne Maa Pukara Mujhe,
    Main Ek Shaakh Se Kitna Ghana Darakht Huyi.

 

वो लम्हा जब मेरे बच्चे ने माँ पुकारा मुझे,
मैं एक शाख़ से कितना घना दरख़्त हुई।

  • Neend Bhi Bhala In Aankhon Mein Kahan Aati Hai,
    Ek Arse Se Maine Apni Maa Ko Nahin Dekha.

 

नींद भी भला इन आँखों में कहाँ आती है,
एक अर्से से मैंने अपनी माँ को नहीं देखा।

 

maa ke upar shayari
maa ke upar shayari

Maa Shayari Hindi

  • Jab Bhi Dekha Mere Kiradaar Pe Dhabba Koi,
    Der Tak Baith Ke Tanhayi Mein Roya Koi.
    “Meri Maa”

जब भी देखा मेरे किरदार पे धब्बा कोई,
देर तक बैठ के तन्हाई में रोया कोई।
“मेरी माँ”

  • Jara Si Baat Hai Lekin Hawaa Ko Kaun Samjhaye,
    Ki Meri Maa Diye Se Mere Liye Kajal Banati Hai.
    जरा सी बात है लेकिन हवा को कौन समझाए,
    कि मेरी माँ दिए से मेरे लिए काजल बनाती है।
  • Seedha Sadha Bhola Bhala Main Hi Sabse Achchha Hu,
    Kitna Bhi Ho Jaau Bada Maa Aaj Bhi Tera Bachcha Hun.
    सीधा साधा भोला भाला मैं ही सब से सच्चा हूँ,
    कितना भी हो जाऊं बड़ा माँ आज भी तेरा बच्चा हूँ।
  • Yun Toh Maine Bulandiyon Ke Har Nishaan Ko Chhuaa,
    Jab Maa Ne God Mein Uthaya Toh Aasman Ko Chhuaa.
    यूँ तो मैंने बुलन्दियों के हर निशान को छुआ,
    जब माँ ने गोद में उठाया तो आसमान को छुआ।
Maa Shayari Hindi
Maa Shayari Hindi

hindi maa shayari

  • Maa Ki Ajmat Se Achchha Jaam Kya Hoga,
    Maa Ki Khidmat Se Achchha Kaam Kya Hoga,
    Khuda Ne Rakh Di Ho Jis Ke Kadmo Mein Jannat,
    Socho Uske Sar Ka Mukaam Kya Hoga.

माँ की अजमत से अच्छा जाम क्या होगा,
माँ की खिदमत से अच्छा काम क्या होगा,
खुदा ने रख दी हो जिस के कदमों में जन्नत,
सोचो उसके सर का मुकाम क्या होगा।

  • Koi Dua Asar Nahin Karati,
    Jab Tak Wo Ham Par Najar Nahin Karti,
    Ham Uski Khabar Rakhe Na Rakhe,
    Wo Kabhi Hamen Bekhabar Nahin Karti.

 

कोई दुआ असर नहीं करती,
जब तक वो हम पर नजर नहीं करती,
हम उसकी खबर रखे न रखे,
वो कभी हमें बेखबर नहीं करती।

  • Yun Hi Nahin Goonjti Kilakariyan‬ Ghar Aangan‬ Ke Kone Mein,
    Jaan ‎Hatheli‬ Par Rakhni‪ Padti Hai “Maa” Ko “‪Maa‬” Hone Mein.

 

यूं ही नहीं गूंजती किलकारियां‬ घर आँगन‬ के कोने में,
जान ‎हथेली‬ पर रखनी‪ पड़ती है “माँ” को “‪माँ‬” होने में।

  • Jab Jab Kagaz Par Likha, Maine “Maa” Ka Naam,
    Kalam Adab Se Bol Uthi, Ho Gaye Chaaro Dham.

 

जब जब कागज पर लिखा, मैने “माँ” का नाम,
कलम अदब से बोल उठी, हो गये चारो धाम।

hindi maa shayari
hindi maa shayari
Rahul
Hi, I am a blogger. I created this blog to share Quotes, SMS, Wishes, Pics, Images, Shayari, Status, wallpaper.
RELATED ARTICLES

1 COMMENT

  1. तेरी गोदी में लेटकर दुनिया का सारा डर भूल जाता था मैं

    आज डर तो और भी ज्यादा है, पर तेरी गोद नहीं है डर भुलाने को ।।

Comments are closed.

Most Popular

Recent Comments

Riya sharma on Maa Shayari Images Hindi
nagendra singh on Yaadein Shayari In Hindi
whatsapp status market on maharana pratap ki photo, quotes