MANZIL LYRICS – JATT PRABHJOT

Manzil Lyrics by Jatt Prabhjot and Gurvansh Gujral is the latest song sung by them. Manzil song lyrics are written by Gurvansh Gujral. Check out the full lyrics and official video below.

Song Detail

Lyrics by: Gurvansh Gujral
Singer: Jatt Prabhjot, Gurvansh Gujral

MANZIL LYRICS – JATT PRABHJOT

Jude zameen se
Aasmaan pe rakhe pair
Pehle teri mehnat phir hoti rab di mehr
Lekeer ka fakeer ban’ne ka tha na shauk
Tabhi to ban paya aap sabka Jatt Prabhjot

To good morning friends
Sat sri akal namaste
Badon ko pairi pauna chhoton ko hello

Umar 10 tera bhai tass se mass
School ke khoob maze maze loot
Aur padhne mein tha main mast
Shauk the do
Ghoomna phirna aur padhai
Baaki aankhon se dikhta na thi utni kamayi
Jo le jaaye mujhe baahar, dilaye kapde
Main paagal sa bachcha
Lagta tha unse jhagadne

Pyar karne se zyada papa majboor the
Tabhi to dost yaar mere mujhse door the
Purane mere kapde, purane joote
Purani yeh kitabein
Woh hanste the mere munh pe
Kyun be ismein meri kya hai galti
Par jald hi main seekh gaya
Majboori bhi ek galti

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai
Tukhe jeetna hai

Kuchh hi samay nave kaam pe main jaane laga
Umar thi 12, 22 ki soch ko laane laga
Kam thoda khaane laga
Aansu ko dabaane laga
Apne se bhaari wazan main uthane laga

Padhne ka shauk kaam karne ki majboori thi
Raat raat bhar padhai se
Kamzor aankhein ho rahi thi
Meri umar mein laundon ke toot’te dil
Yahan meri aankhon ke saamne
Meri dukaan toot rahi thi

Woh bhi tha samay room ek rehte log 5
Wahin tha khaana peena wahi bani apni dukaan
Kayi baar socha ki le leta hoon apni jaan
Par imaan bola papa ki baat ka banega kaun shaan
Zaruratein poori hon na hon
Par meri fees bhari jaati thi
Meri maa ki aankhon mein woh ek tasveer
Mujhe hamesha dikhlaati thi
Ke mujhe hona kaamyaab
Karna kanyadaan meri chhoti behan
Meri jaan mera samman
Mere ghar ki khushiyon ko wapas deni jaan seedhi baat
Waapas lana apna aatmsamman

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai
Tukhe jeetna hai

Poori padhai kiya thi naukri ki talaash
Saal bhar ghoome baby bana na paaye koyi baat
4000 koyi deta 5000
Is’se zyada dukaan pe mere chhotu ki thi pagaar
Kaam pakde jo bhi mujhe takkre
Na the koyi nakhre
Kyun ki saaf mere sapne
Sath mere apne
Sath kiya kaam, sath faila naam
Aaj bhi thok ke salaam apne bhaiyon ko
Jinhone diya sath
Jinhone mere bure waqt mein bataya hath
Yeh zamana hath kaatne walon ka
Jaat-paat mein baatne walon mein se
Na tha koyi mera yaar

Dhool vi chatt layi, duniya vi takk layi
Koyi kise da yaar nai jadd hundi ae takleef
Yaar pra vi nakli eh gall ch koyi shakk ni
Paalo tussi kutta par paalo kade sapp nai

Poori zaruratein ab ho rahi thi
Meri maa bhi ab sukun se so rahi thi
Par mere andar ka jwala tha
Mujhe jo sata raha tha
Us’se meri neendein ab kho rahi thi

Kaam kar raha hoon, ghar bhi theek hai
Yaar dost kehte toone paa li jeet hai
Par aana mujhe rona yeh kaisa mera naseeb
Kaamyaabi ke baad bhi mujhe mili na koyi jeeta hai

Dum mera ghut raha
Maa mujhe poochhti
Raaton ko mujhe neend nahi kaam mein aati
Sochti santushti nahi hai
Kisi bhi baat ki mujhe khushi kyun nahi hai
Chardiwari ko chhod karna aasmaan ki sawari
Maine soch liya yeh kaam mere bas ka nahi hai

Zindagi jeeni hai ik baar jee shaan se
Manzil hai door par lagaam tere hath mein hai
Zinda hai tu kyun ki khuda tere sath mein hai
Na dar tere kala tere hath mein hai

Kaamyaab banda kaam ke baad bhi khush nahi hai
To woh kaamyaab hi nahi hai
Iklauti zindagi ko ro kar jeena
Achchi baat to nahi hai

Job se off lekar savings ko tod diya
Kar explore mujhe yeh hai maine thaan liya
Ghar walon ne bhi mujhe poora support kiya
Soch liya gaadi maine Laddakh ko mod liya

Lagaya go pro
Jaane laga slow slow
Leta raha photo
Ab leta raha slow mo
Dekha maine jo jo
Main chahta sab kuchh mera ho
Main chahta har koyi dekhe kabhi
Banaya pehla video
Start to end maine poora record kiya
Ghar aake dekha edit kiya phir upload kiya
Sach bataun woh pehla zindagi ka din tha
Jab har ek lamha maine poori khushi se jiya

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai

Chalna sikhaya tujhe daudna hai
Jeena sikhaya tujhe jeetna hai
Kehna sikhaya tujhe cheekhna hai
Tukhe seekhna hai
Tukhe jeetna hai

Back to square one, one on one
Shuru huyi jung jo thi meri khud se
Kamaun thoda kam par karun kaam
Jismein lage mann
Yeh maine thaan liya man se
Back to back phir video banane laga
Chhutti to milni nai thi salary katwane laga
Daant bhi khaane laga par baat nai koyi
Dilli Manali Mussoorie to ghoome mila
Dekh dekh views badhne lage
Log mere naam se mujhe jaan’ne lage
Road pe rok ke mujhe bulane lage
Phir ek din hua kuchh aisa
Meri aankhon se aansu na ruke

Paa li jeet bhale aa jaaye maut ab
Hua kaamyaab na bacha kisi ka khauf ab
Shohrat paa li maine, daulat paa li
Papa ki chhaati chaudi ke saame tikega kaun ab
Record kiya fastest growing youth
Youtuber ki lagi bet
Time hua mujhe aaye 2 saal
2 saal mein tera bhai 1 million paar

Diya shot maine short notice mein
Aane lage notice mein tere bhai ke kisse
Load kare shot kare video mein gaur kare
Mere liye comments mein logon ki maa-behn kare
Mere fans ne diya bohat pyar
Haters ne mere liya rakha mangalvar
Samachaar aaya Jatt Prabhjot ko mila pyar
Tabhi to KTM se seedha le li BMW car

Bana blogger na kisi ka naukar
Din mein kaam khud ka shaam mein hoon shopper
Hip hopper bhai mere sath
Gurvansh Gujral gol maare jaise soccer
Plan tha foolproof na khela main gambling
Tumhare liye tough jaise carry of gavin
Off road zindagi mein smooth rakhi handling
Tumhein laga shot put maine javelin
Subscribe karein dislike ke liye
Face hide karein meri ek bite ke liye
Lakhon mein views har video ko aate
Haters ka aabhari main iss hype ke liye
Door se dekh kar murjhane wale log aaj
Door door se aate mujhe milne
Purani tasveerein inbox mein bhej kar
Aate banane nave nave rishte
Jo na karte the follow
Aaj tweet karte hain mere baare main
Waise to manzil hai boht door
Par kayi log humein ginte sitaaron mein

Tumhare saame hai aaj mera kal
Na yeh chamatkaar bas mehnat ka phal
Aap sabhi ke pyar se haters gaye jal
Aur main seekh gaya zindagi ka jeena har pal
Haan manzil bohat door hai
Par yeh mukaam mere liye kisi jeet se kam nahi
Bure samay ko sahi banana hamare hath mein hota hai
Bas sachche man se mehnat karte jao
Aur pyar failate jao
Isiliye main yeh kehta hoon

Dua bani dawa
Jahan kabhi socha na tha
Wahan aaj hoon khada
Jo na jaante the woh bhi aaj hain mere gawah
Mata pita aur chahne walon ko dil se shukriya

Rahul
Hi, I am a blogger. I created this blog to share Quotes, SMS, Wishes, Pics, Images, Shayari, Status, wallpaper.
RELATED ARTICLES

Most Popular

Recent Comments

Riya sharma on Maa Shayari Images Hindi
nagendra singh on Yaadein Shayari In Hindi
whatsapp status market on maharana pratap ki photo, quotes