HomeSong LyricsHINDI SONG LYRICSSandese Aate Hai Lyrics - Border (1997)

Sandese Aate Hai Lyrics – Border (1997)

Sandese Aate Hai Lyrics – Border (1997). It is sung by Sonu Nigam and Roop Kumar Rathod and composed by Anu Malik. This song is starring Sunny Deol, Jackie Shroff, Suniel Shetty and Akshaye Khanna.

Sandese Aate Hain Song DetailSong : Sandese Aate Hain
Album : Border (1997)
Singer : Sonu NigamRoop Kumar Rathod
Musician : Anu Malik
Lyricist : Javed Akhtar

Sandese Aate Hai Lyrics

Hoho…

Sandese Aate Hain

Humein Tadpaate Hain

To Chitthi Aati Hai

To Poochh Jaati Hai

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai

Sandese Aate Hain

Humein Tadpaate Hain

To Chitthi Aati Hain

To Poochh Jaati Hai

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai

Kisi Dilwaali Ne Kisi Matwaali Ne

Humein Khat Likkha Hai

Ki Humse Poochha Hai

Kisi Ki Saason Ne Kisi Ki Dhadkan Ne

Kisi Ki Choodi Ne Kisi Ke Kangan Ne

Kisi Ke Kajre Ne Kisi Ke Gajre Ne

Mahekti Subahon Ne Machalti Shaamon Ne

Akeli Raaton Ne Adhoori Baaton Ne

Tarasti Baahon Ne

Aur Pooccha Hai Tarsi Nighahon Ne

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai

Sandese Aate Hain

Humein Tadpate Hain

To Chitthi Aati Hai

To Pooche Jaati Hai

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai

Mohabbat Walon Ne Hamare Yaaron Ne

Humein Ye Likkha Hai Ke Humse Poochha Hai

Hamare Gaaon Ne Aam Ki Chaaon Ne

Puraane Peepal Ne Baraste Baadal Ne

Khet Khaliayaanon Ne Hare Maidaanon Ne

Basanti Belon Ne Jhoomti Belon Ne

Lachakte Jhulon Ne Behekte Phoolon Ne

Chatakti Kaliyon Ne

Aur Poochha Hain Gaaon Ki Galiyon Ne

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Gaaon Soona Soona Hai

Sandese Aate Hain

Humein Tadpate Hain

To Chitthi Aati Hai

To Pooche Jaati Hai

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai

Ohh Ohhhh Ohhh …

Kabhi Ek Mamta Ki

Pyaar Ki Ganga Ki

Vo Chitthi Aati Hai

Saath Vo Laati Hai

Mere Din Bachpan Ke

Khel Vo Aangan Ke

Vo Saaya Aanchal Ka

Vo Teeka Kaajal Ka

Vo Lori Raaton Mein Vo Narmi Haathon Mein

Vo Chaahat Aankhon Mein Vo Chinta Baaton Mein

Bigadna Oopar Se Mohabbat Andar Se

Kare Vo Devi Maa

Yahin Har Khat Mein Poochhe Meri Maa

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Aangan Soona Soona Hai

Sandese Aate Hain

Humein Tadpate Hain

To Chitthi Aati Hai

To Pooche Jaati Hai

Ke Ghar Kab Aaoge

Ke Ghar Kab Aaoge

Likho Kab Aaoge

Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai

Ohohho..

Ay Guzarne Waali Hava Bata

Mera Itna Kaam Karegi Kya

Mere Gaanv Ja Mere Doston Mo Salaam De

Meri Gaanv Mein Hai Jo Vo Gali

Jahaan Rehti Hai Meri Dilruba

Usay Mere Pyaar Ka Jaam De

Usay Mere Pyaar Ka Jaam De

Vahin Thodi Door Hai Ghar Mera

Mera Ghar Mein Hai Meri Boodhi Maa

Mere Maa Ke Pairon Ko Chhooke

Usay Uske Beta Ka Naam De

Ay Guzarne Waali Hava Zara

Mere Doston Meri Dilruba

Meri Maa Ko Mera Paiyam De

Unhe Jaake Ty Ye Paigam De

Main Vaapas Aaoonga

Main Vaapas Aaoonga

Phir Apne Gaaon Mein

Usiki Chaaon Mein

Ki Maa Ke Aanchal Se

Gaanv Ke Peepal Se

Kisike Kaajal Se

Kiya Jo Vaada Tha Vo Nibhaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Main Ek Din Aaoonga

Rahul
Hi, I am a blogger. I created this blog to share Quotes, SMS, Wishes, Pics, Images, Shayari, Status, wallpaper.
RELATED ARTICLES

Most Popular

Recent Comments

Riya sharma on Maa Shayari Images Hindi
nagendra singh on Yaadein Shayari In Hindi
whatsapp status market on maharana pratap ki photo, quotes