Bewajah Lyrics by Hardil Pandya is the new Hindi track released from Indie Music Label. Shravan Pundirr is the lyricist of the track’s lyrics. Read full lyrics of the Bewajah song.
Song Name: | Bewajah |
Singer(s): | Hardil Pandya |
Lyrics Writer(s): | Shravan Pundirr |
Music Director(s): | Hardil Pandya |
BEWAJAH LYRICS
Kyun tode tune saare waade
Tanha chhoda rahon mein laake
Aankhein meri bin tere jaage
Jaun main kahan..
Kyun aahatein hai peeche bhaage
Thak gaya hoon jaage jaage
Dard bhi ab aankhein maange
Ro lu mein zara..
Meri taqdeer thi tu Main tera naseeb tha
Kyu mil na paaye yeh bata..
Toda kyun chhoda tanha mujhko bewajah
Teri hi yaadein hai bas ab to har jagah
Aansoun ki baarish hai aur tanha main khada
Teri hi yaadein hai bas ab to har jagah
Pehli mulaqaat ki wo raat
Tera sath wo barsaat
Yaad aati hai..
Keh na paaya jo main dil ki baat
Wo jazbaat ban beh jaati hai
Yaad aati hai..
Tera har khwab mera tha
Falak par bas savera tha
Na ho paaya kisi ka dil ye tera tha
Toda kyun chhoda tanha mujhko bewajah
Teri hi yaadein hai bas ab to har jagah
Aansoun ki baarish hai aur tanha main khada
Teri hi yaadein hai bas ab to har jagah
Toda kyun mujhe chhoda kyun
Toda kyun mujhe chhoda kyun
Toda kyun mujhe chhoda kyun.. Bewajah..
Toda kyun mujhe chhoda kyun
Toda kyun mujhe chhoda kyun
Toda kyun mujhe chhoda kyun.. Bewajah..
Written by:
Shravan Pundirr